Sunday, December 2, 2012

Kuch Ajeeb


Ek ajeeb si adchan mehsoos hoti hai,
Jab baatein kahi nahi jaati hai,
Har pal unki khamoshi pareshaan karti hai,
Aisa lagta hai ki unki berukhi bayaan karti hai,
Yeh sirf mera khayal toh nahi,
Shayad koi berukhi hi nahi,
Par iss dilko pata nahi kyun bharosa hai,
Ki har khamoshi ke peechey wajah toh hota hai...

Monday, August 13, 2012

Khamoshi



Ek ajeeb si bechani hai dil mein,
Par bayaan nahi ho paa rahi hai...

Kuch poochna chah raha hun tumse,
Par shabd nahi mil paa rahe hai...

Yeh mann kahin kho gaya hai kale andheron mein,
Par tere saamne aatey hi machal jaata hai...

Yeh kaisi kashmash mein pad gaya hun,
Kyun main khamoshi ka saath dene laga hun...

Dard

Kabhi kabhi yeh dil apne aap se saawal karta hai...

Kyun chahon kisiko itna ki unke na hone ka dard ho...

Kaisa hai yeh dard hai jo chahat ko bhulane par bhi kam nahi hota...

Yeh dard bhi bada dusht hai sama jaaye yun zehan mein ki nikale na nikle...

Wednesday, February 1, 2012

Andar hai

Zindagi ki hasratein kuch kam si hone lagi..
Aaj kal humari daastan bhi tham si gayi hai..
Na mila chain shivala mein aur Nahi mila madhushala mein..
Hum toh yunhi dar dar bhatakte rahe..
Uss khushi ke khoj mein jo na kabhi di jaati bas mil jaati hai..
Jo na khareedi jaa sakti hai bas mehsoos kari jaati hai..
Jo na kabhi paayi jaa sakti hai bas samjhi jaati hai..j
Jo na kabhi chuhi jaati hai bas apne aap andar sama jaati hai..

Akele hum yahan

Ek sanata sa chaya hai mere aas paas,
Log hai fir bhi kahan hai unki aawaz,
Agar tumhe pyaar karne ka mann bhi karen,
Par iss jagah waisa dildaar na miley,
Iss pagal duniya mein jaanwaron se lagav zyada,
Aur admiyon se kum dil lagate hai,
Yahan tanhaiyon ko log nasha karke mittate hai,
Jaane kyun yeh log pyaar ka nasha nahi samajh paatey hai