Tuesday, July 12, 2011

Tera Gussa

Bahut sahan ki main ne teri berukhiyan

Kab tak karti rahun main isse undekha

Har cheez ki ek seema hoti hai meri jaan

Abh kar khatam apne iss bekaar ubal ko

Na hongi humse galtiyan nazar-andaz abh toh

Waqt par sambhalle apne iss bey-eeman gusse ko

Nahi toh haath doh baithegi apne hi pyaar karnewalon ko

Tuesday, April 26, 2011

Aapka jawab

Har pal yeh nigahe aapki haan ke liye taras ti hain,

Par aapse poochne ka sahus nahi kar paa ti hain,

Kyunki aapki ek naa se toot jaayengey hazaron umeedein,

Par aapki ek haan se fir ban jaayengey sapno ke mahal,

Yeh na sochyega ki koi zabardasti hai,

Aur naa hi kijiyega koi ehsaan humpar,

Bas yun samjhiye ki aap kar rahe hain madat apni,

Kyunki naseebwalon ko miley hai hum jaise aashiq yunhi..

Saturday, January 15, 2011

Dosti

Dosti mein har din baat karna zaroor nahi,
Nahi zaroori hai dosti ko jaatana har kadam par,
Agar kuch zaroori hain toh uska atoot vishwas,
Inn choti moti mushkilon mein uska aseem saath,
Dosti ek aisa ehsaas hai jisko nibhana zaroori nahi,
Par ek aisi bhavna jisse samajh na zaroori hai.

Dosti ko saath aur umeed ke tarazu par mat tolo,
Balki dosti ko saath bitaaye unn sunehre pal se zinda rakho,
Choti moti khataon ki wajah se iss sneha bhare rishte ko na todo,
Balki jodo iss rishtey ko kyunki pyaar se badkar hai humari DOSTI!