Tuesday, March 30, 2010

Faisla

Band karo yeh rona dhona
Jis mein ruchi nahi woh kyun karna
Bachpan ka khawab jab honewala hai poora
Toh phir kyun tumhe hai kuch aur karna
Mat karo usse kyunki baad mein tumhe hai pachtana
Iss dost ne tumhe kitni baar hai roka
Par har baar tumne mere alphazon ko kiya unsuna
Anth mein hoga tumhe apne hi faisle par rona.....

Monday, March 29, 2010

Bhaiya

Bhai-behan ka yeh atoot rishta,
Duniya mein hai kum milta,
Par Bhaiya apne uss kumi ko poora kiya,
Aur humein iss anjaan desh mein bhai ka pyar diya.

Thursday, March 25, 2010

Meri pyari nyari saheli

Aaj dil ne kahan tere baare mein likhun
Par kaise izhaar karun iss dil ki baatein
Inn char saalon mein tere saath guzra
har pal apne aap mein ek kahani hai
Yuhin beet gaya jo woh toh humari jawani  hai
Dekhte hi Dekhte hum itne baade ho gayen
Yeh din toh baas ek doosre ko samjhne mein beet gayen

Maana ki humari shuruvat achi na thi
Magar pyaar jis rishte ki buniyaad ho
Uss rishte ki toh misaal di jaati hai
Log toh hume bemisaal kehte hai
Aur apne hee dil se roz roz
Humare jaise dosti ki umeed karte hai

Tuje toh malum hai behna
Tere saath hoga muje chodna
Nahi dekh paungi har din tuje
Par teri yaad mein sabko sonal bulangi
Unn logon ko apni kahaniyan sunaugi
Aise hi apni dosti ko jaawan rakhungi

Kuch aur kaafiye bas yun hi.....

Number one:
Parichay karva de mere dilka tere dilse
Lubha liya hai tune apni ek jhalak se
Pal mein hi deewane tere ho gaye
aashiq-parwane-mastane yeh  naam humse jud gaaye 

Number two:
Tumhari ek awaz par uth khade hum
Tum bolo toh zameen aasman ek kar de hum
Teri ek muskaan humari duniya ki hasrat hai
Tumhara saath meri zindagi mein barkat hai




Wednesday, March 10, 2010

Behaal Dost

Abh aur nahi sun sakti mein
Doston ki buraai jhel nahi sakti mein
Hey Bhagwan! uss dost ki izzat kaise karu
Jo apni hi izzat nahi kar paaya

Dost ke charitra mein parivartan hua
Ghamand ne usse sar se pau dhak liya
Main uski madat kaise karu Bhagwan
Jisne apne hi barbaadi ko lakshya bana liya

Friday, March 5, 2010

Machalna


Dil mein hui hai hulchul hulchul


Ho gayen hai hum pagal pagal


Sama badal raha hai haule haule


Pyar na ho jaaye yunhi milte milte

Wednesday, March 3, 2010

Afsos

Yeh kaisi majboori hai

Kyun yeh doori hai

Yeh kaise bhed-bhav hai

Kyun parkha jaa raha hai jaat se

Kya abh jaat dekhkar dost banaengey

Iss Jaat ki Dhool ne aankhen moond li insaan ki

Kar diya door sachai se insaan ko

Afsos hai ki jaati se tol rahe hai rishte

Jab atoot rishte ki buniyaad pyar ko maante hai

Toh phir kyun jaati ko rishte ki neev banate hai

Kyun na hum pyaar baate aur mitaye inn bhed-bhavon ko

Aur bhool jaaye woh jaat paat jo alag karen insaan no ko

Monday, March 1, 2010

Ajeeb Mann

Yeh mann tanhayeon mein roye
Na yeh pyar ki paribhasha samjhe
Isse bas kamiya kyun dikhti hai
Achaiya kyun nazarandaz ho jaati hai
Apne aap ko sawalon se hairaan karta hai
yeh mann khud se hi anjaan rehta hai
Kabh yeh mann pyar ko samjhega
Kabh yeh dil ki icha poori karega.....


Aarzu

Tanha hai yeh dil tere bina din-ba-din
Tujse milne ki kare aarzoo har din
Kabhi toh aakar mujh se mil
Saath na chodengey agar tu dede dil

Dard

Dard yeh jo saha na jaayen
Davai bin abh raha na jaayen
Kaise kaise din dekhne padte hai
Apne badan ko toot te dekhte hai

Teri Yaad

Aaj baarish mein beeghte beeghte teri yaad aayi
Tere saath beetaye unn lamhon ki humne fariyaad ki
Tujse milna toh door hum toh teri awaz sunne ke liye taraste hai
Iss liye hum apna jee bharne ke liye khud hi se baatein kar lete hai